Sunday, January 27, 2013

BSSC FIRST GRADUATE LEVEL MAINS EXAM. ANSWER KEY AND CUTOFF



CLICK HERE FOR THOSE WHO QUALIFIED FOR CONCELLING

CLICK HERE FOR MAINS GS/GK  QUESTION PAPER 

CLICK HERE FOR MAINS GS/GK ANSWER KEY

CLICK HERE FOR QUESTION OF GENERAL HINDI

CLICK HERE FOR GENERAL HINDI ANSWER KEY

Bihar Staff Selection Commission conducted first graduate level mains examination (Sachiwalaya Sahayak Examination) on 27 January, 2013. Mains examination question paper and Answer key have been provided on Commission's website. Any error in question paper or in answer can be informed to BSSC till 31 January, 2013. After then no complain will be entertained. It shows that BSSC is serious in declaring the result as soon as possible. It can be expected before 20 February, 2013. 
    As far standard of questions are concerned, it was a mix bag. It was not on the pattern of preliminary examination. All sections were mixed. There were very few questions from math. Except 5 to 6 questions of word formation , all reasoning questions were not so tough.   GK questions were not so lengthy as it was in the mains. In the Reasoning section unlike PT. examination, not too many questions were asked from arithmetic. It means GS and Science questions are going to decide the final merit. One can say that it was little easy. 
        Keeping all these factors in mind one can expect a cut off marks based on one's performance. Since the General Hindi paper was qualifying in nature, hence its marks will not be added in the merit list preparation. So merit list will be prepared on the marks scored in Second sitting's paper only. In the preliminary examination cut off for general candidate's was 342 (on the basis of first result). In the mains examination cut off will be certainly go higher. How much, it is very tough to say. But one can guess and say that it will be around 390-400 marks for general category. It may be wrong, but is only speculation. Now it is up to you, to debate on the cut off. However BSSC is not going to give you enough time in debating the result, because final result can be expected anytime after 15 February. Total number of seats are 3285. 

CLICK NEWEST LINK FOR COMMENTS AFTER 1600 OR CLICK HERE

3,319 comments:

«Oldest   ‹Older   1201 – 1400 of 3319   Newer›   Newest»
Anonymous said...

pure merit list ko chalange karna chaiyae,sabhi ladko ka answer seet aur model answer seet bssc dawara apne site pur publish karna chaiyae jaise pt me kiya tha,galat jabab ko delet karna chaiyae,tabhi is parikcha ki satyata par biswas ho payaga

Anonymous said...

exam cancele karane se kuchh nahui hoga. fir se exam hoga fir se 3250 log hi pas karega 34000 fail no jaega. ek hi rasta hai .extra result ki mang karna hai . sabhi 27000 ko noukari do . nahi to aag laga denge pure fir se hangam hoga patna me. hangam se bachna hai to ek hi upay hai kisi ko fail maat karo.

Anonymous said...

pratyek ladke se 5000-5000 liya ja raha hai paise ki koi kami nahi hai josh junun ki kami hai . court ki bat karte hai supreem court se bhi aage UN tak ladenge. sabhi 25000 logo ko noukari deni padega. nahi to sanyukt rastra sangh tak jaenge. manavadhikar hanan hai .
achha se achha vakil karna hai . prshant bhushan type ka ya jethmalani type ka ekdum dumdaar y. te vakil jinda ko bhi murda sabit kar dete hai murda ko jinda sabit kar dete hiai to parichha kya chij hai

Anonymous said...

Padhane ke samay Padua nahi...ab aag lagata for raha hai....badmaash aadmi

Anonymous said...

jai ho bihar jai ho bihari

Anonymous said...

I think puri kahani PT ke revised result se hi shuru hoti hai....isme sirf 11000 result de diya gaya.. wahan number aur answer sheet net par kyo nahi diya gaya......usme sabhi munnabhai ko daal diya gaya.....

Anonymous said...

aam aadmi party ke website par sabhi aspirants apna problem share karen tabhi bssc ka pol kulega.

Anonymous said...

Mere dosto me jiska bhi result hai .sabhi ka a model set hai jishe aayog ne apne side par diya hai. mwwgh

Anonymous said...

Prem bandhu ji RTI nahi court jana padega tabhi kuchh hoga

Anonymous said...

merit mai aanewale khush nahi ho....abhi bahut pench hai ...counceling means paisa....same marks par bahut larka hai.....dekh lena......

Anonymous said...

chalo kam se kam joining se pahle kuchh logo ko rojgar mil gaya . kuchh logo ka motercycle to kharida hi jaega . jaisa PT me kuchh logo ka kharidaya tha. paisa dene vaale bevkufo ki kami nahi hai . lo IQ walo ko bevkuf banana bhi asan hai .
tikadambaaj paisa kamane ke sunhare avsare ka achha fayda utha rahe hai

Anonymous said...

kya eco/come/math/stati/ wale larke 10000 rank ME 200 se bhi kam hai.

Anonymous said...

Marks kab load kar rahaa hai

Anonymous said...

Kya court me case file hua hai?

Anonymous said...

Pata nahi hay

Anonymous said...

patna me aaj students ka meeting hone wala tha uska kya hua?

Unknown said...

Jis bhai ka Rank 1 - 1000 ke bich hai.
Kripya karke ve apna approximate marks share kare.

Anonymous said...

Ye kaun naya ghotala karne ke chakkar me hai....iske jhanse me mat aana ....

Anonymous said...

Bssc ne court ke nirnay ka laabh uthaya aur pt ka 11000 result de diya. 1:5 ke niyam ka palan nahi kiya na hi ise defend kiya aanan fanan me unse form bharwaya.jab log padne me wayast the tab khob seating arrangement hua. Exam me syl ka palan nahi kiya gya aur galat salat que ke karan merit list me ulat fer hua hai.let us come and unite at patna college to scrap this exam at1to2pm

Anonymous said...

Ye kaun hamare mushkil ghadi me aam aadami ka promo kar raha...raajniti mat karo yahaan

Anonymous said...

12:06pm wale bhai sahab ji
Ap bhi ghotale ke through aye ho isliye marks nahi bata rahe ho.

Anonymous said...

Tum exam analyse kar rahe ho yaa apna dukhda to rahe...exam nikaalne ka nahi tha dum, ro raha hai student kyon nahi the kum....

Anonymous said...

C i ka post hat gay hai . b s s c se malum chala hai .2c

Anonymous said...

BSSC means BIHAR STATE SAMASYA CREATOR

Anonymous said...

jinka rank upar hai wo sath nahi denge, isliye unka marks puchhna bekar hai

Anonymous said...

kisi mei dam hota to abhi tak case file ho jata bt sb yahan pr bhasan de rha hai, so ache rank wale chill karo kynki kisi ka itna himmat nhi ki case apne dam pr kare.....

Anonymous said...

bssc aisa exam kyun karta hai, ki log protest karte hai, question galat nahi hota to sab result accept karte

Anonymous said...

AISF wale sirf apna oolu sidha kar rhie hai...kuch nhi ho ga....agar court mai case hoga phir bhi...court ka result bssc ke taraf hi hoga

Anonymous said...

dekhna ye hai ki itna jaldi result kise bssc walo ne nikala....

vishwajeet said...

exam cancel honi chahiye aur phir se exam hone chahiye.savi student patna me UNITY banayen.Bihar ke bahar jo bihari hain unka vi support milega.bssc ne question galat diya,uske bad kuch question ka answer galat diya.patna highcourt me CASE FILE jald se jald achchhe Advocate se milkar karen.nahin to yah proverb sahi na ho jaye ki 'AB PACHATAYE HOT KYA JAB CHIDIYA CHUG GAYI KHET'.bssc walo sawdhan,avi student ki kshamat nahi pahchane ho.JAY BIHAR,JAY BHARAT....................

Anonymous said...

viswajeet ji aap kyu nhi case kartie aise v aap ka naam viswa jeet hai

Anonymous said...

agar court mai case hua tho..court phir PT ke exam jaisa baat bolie ka ki jiska hua hai ooshie kuch nhi hona chaiye

Anonymous said...

Sorry bhai...berojgaar huun naa , is liye charge jyada lag raha hai mujhe...thoda kum karo

Anonymous said...

jpsc mai jaisa hua....cbi ke 2uara check hua agar bssc mai tho hi kuch chance hai ki....phir se PT aur main ho

Anonymous said...

2000 seats in various post...suns hai ....taiyari shuru kijiye. Mehanat AAP karte nahi ,sirf dhyaan exam cancell karane me rakhte ho....

Anonymous said...

Dekhiye agar matter court me jata hai to main exam cancle ho jane ka pura chance hai kyunki last time jab PT case per hearing ho raha tha tab judge ne kaha tha ki aage se aisa galtiyan hui to exam ko cancle kiya ja sakta hai.

Hum log patna high court ka website se judgedment copy ka rint le sakte hai..aur is baar court ka dhyan is taraf aakrshit kar sakte hain.

Case nahi bhi koi karta hai to janhit yachika to dayar kar hi sakta hai..kyunki yah subject public interest ka hai..aur is desh ka koi bhi nagrik patna high court me yachika dayar kar sakta hai..

vishwajeet said...

1.16 pm wale bhai sahab pahle CASE to FILE ho.Apna kam karne ka,phal ki chinta bhagwan par chhor dene ka.bihar me sudhar hone ki bat karne wale,aise me kaise bihar me sudhar hoga.jab rectruitment process me kuch question aur kuch answer hi galat ho."JAB GHAR KI NIB HI KAMJOR HO TO IMARAT KITNA MAJBUT HOGA SAMJHA JA SAKTA HAI".

Anonymous said...

1.29 p.m ji...yeha bssc ne result dai diya hai...agar exam cancel hua,jiska result hua woh log hungama karie gai.....ye ho sakta ki court ki exam ko pura cancel kar kai...phir se PT aur main exam lai

Anonymous said...

vishwajeet ji ye bihar hai....PT mai bhi galti hui thi...court ne 6 ko galat mana tha...hala ki 6 se jada PT mai galat thi...bssc ne 10000 extra result diya log chup ho ggye..akhir student chup kyu hui,ye baat agar na maan kar supreme court file hota tho ye na hota...agar bssc walo kuch seat add kar dai,tho sab chup ho jaye gai...phir aagie ka exam bhi kuch aisa hi hoga.....YEHA SYSTEM JAB TAK BIHAR MAI CHANGE NHI HOGA KUCH NHI HOGA

Anonymous said...

Filed RTI throgh online on www.swaraj.net

Anonymous said...

Filed RTI through online on www.swaraj.net

Anonymous said...

Galat dekh kar chup rahne kin parampara bahoot hi kharab hai...hum choop rahte hai aur karne wale kuchh bhi galat karte hai...par jab apni par aati hai to log chillate hai...har kisi na kisi ke pados me kuchh na kuchh galat hota rahta hai..phir bhi hum kuchh interest nahi lete hai..patna ke har gali mohallo me farji karne wala, setting karne wala, doosare ke badle me baithne wala, shikha mafia etc. ghoomate rahte hain aur hum unhe kuchh bolte nahi hai ulta hum unhe ijjat ki drishti se dekhate hain..humlog sirf apne se matlab rakhna chahate hai..iska parinaam sab ke saame hai "aaj ka bihar-puri duniya me badnaam"

Rajdivya said...

jo peper set karne ke liye aur answer
dene ke liye jimmewar hai unke liye saja ki mang kyon nahin uthati.aise me kitna samay aur paise ka nuksan ho raha hai....

Anonymous said...

kise medha me upar ane ke iye-1)q.n. 111 delete kiya gaya (2)q.n.82 me 2 answer sahi kiya gaya (3)q.n. 69 ka answer change kiya gaya (4)147 ko delete nahi kiya gaya. ye char batein court me jate hi bahuton ke madha ank badal jayenge.fish water(color)me hi rahegi,marina beach taminaidu and goa dono jagah nahi ho sakta,sitting arrangement koi sahi nahi ker paya,

Anonymous said...

aayog ne kitna question delete kiya aur kitne ka answer revise kiya, isaka suchana website per kyu nahi jaari kiya..jab results website per deta hai to revision ko bhi website per dikhana chahiya..aur 20 february ko meeting me kya faisala kiya gaya oosaka bhi adhikarik toop se suchana nahi diya gaya hai, log to sirf paper aur media ke madhyam se hi anuman kaga rahe hai....ye board looka chhipi ka khel kyu khel raha hai.

Anonymous said...

aaj patna college me student meeting me kya hua. hum sab unke sath hain.

Anonymous said...

Bssc seat increased to 5400.confirmed news

Anonymous said...

is blog per sab bakwas kar rahe hai. aata jata kuchh nahi kewal exam cancil karayenge. are pagalon pattern change tha to sabke liye. galat prashna aur utter sabake liye tha. ho jata to tum sab chup rahte, nahi hua to shore kar rahe ho. bloging chhodkar padhai per dhyan do.tendulkar se bhi adhik pratibhashali cricketer gramin kshetron me hai.unhe mauka nahi milta. patna me baithkar blog likhate raho.maa baap ka paisa udao. nahi hone per aayog ko dosh do.are besharmon kuchh to sharm karo.

vishwajeet said...

1.18 pm wale bhai sahab pahle CASE to court ke samne jaye.tab na judgement ki bat aayegi."KAUN KAHTA HAI KI ASMA ME SURAG NAHI HO SAKTA, EK PATHAR TO HAUSALE SE UCHHALO YAARO".phir dudh ka dudh aur pani ka pani ho jayega.jab bssc wale 150 question aur answer sahi se set nahi kar sakte.recruitment process must be transparent.

Anonymous said...

2:37pm bhai sahab jo khud pagal hote hain unhe doosare pagal hi dikhate hain.
aur rahi baat parhne likhne ki to aapko batate chale ki 75% candidate job wale hain jo main pariksha me bathe hain aur jo berojgar hain unhae bhi kanhi na kanhi ho jayega itni vacancies all india level per banks, railway aur SSC me aa rahi hai. Par hamare bihar me kuchh galat ho raha hai to oose rokne ka prayas karna hi chahiye..aaj tumhe aayog ke galti se achchha rank mil gaya isaka matlab ye nahi hai ki ye sahi gaya.. agar isi tarike se sabhi aayog karne lage to India pakistan aur afganistan ke jaisa ho jayega.

Anonymous said...

2:37 pm wale bhai sahab hum koi neta nahi na hamra kaam bloging karna hai..hum to bssc ki baar-baar ki galtiyo se aahat hain..Ek pratishthit sansthan se aisi galti ki asha nahi ki ja sakti hai..agar galti hoti bhi hai to oose sudhara ja sakta hai, lekin bssc galti bhi karta hai aur jaise oosane galti kiya hi na ho jaisa dikhata hai. ye sabhi aaj ke jamane me nahi chalega.

Anonymous said...

...

Anonymous said...

dekho court ka kamal aise aise gadho ne bhi mains diya tha . ab bssc galti karti ya nahi karti ye to court jate hi . in logo ki kismat achhi hai ki bssc chhoti moti galti kar hi deta hai

jai ho munnabhai

Anonymous said...

BSSC ki maa ka paapad.......chairman ka lund kaat ke gandhi maidaan mein latka dena chahiye

Anonymous said...

..................

Anonymous said...

suna court mai case ho gya hai,ye baat sach hai kya

Anonymous said...

Suna to main bhi huin...pata lagao aap patna me ho to.

Anonymous said...

court ei cas hua hai kya? nahi hua hai to monday to ho jayega. sab log monday ko high court chalein. wahan jaankari mil jayegi. Wakil bhi pata kar ke rakho. aisa lagta hai saste mein kaam ho jayega. koi bhi wakil case hath mein le sakta hi. nme fame to use milega hi. aur student ki dua bhi. pt mein jo case file hua tha use file karne wale ka contact number aur wakil ka contact number pata kar ke rakho. contact karke aage ki karwiyi monday ko ki jayegi.

Anonymous said...

sale kuta log padata to hai nahi aur fokat ka naukari khojta hai case karne se kuchh faida nahi hone wala hai tumlogo ka

Anonymous said...

Bhai @2:48 reservation ke through bhi toh ayogya candidate , yogya candidate se uper sthan pata hai....kum se kum afganistan me ye toh nahi hota....afganistan selection process me hum se achha hai

Rajdivya said...

jo bhi bhai suchana de rahen hai wo please suchana ke source kya hai wo bhi bataye aur usaki pusti kahan se ho sakti hai ye bhi batayen.kuchh mere jaise kuchh student patna se bahut door hai aur yah blog bahut achha jariya hai hamare news ke liye.thanks

shashank said...

this blog post has become a hotbed of misinformation...people claiming the seats have increased...grade pay has varied, some posts have been reverted back to BPSC etc. i follow this post every once in a while and find that the no. of posts is increasing by hundreds every hour or so...last i read today was a gentleman claiming he would go to UN against this human right violation...common is he kidding? won't the UN ask was this the last exam on this planet? if not y not give other exam get selected and rest in peace with the truth that they r not the only surviving intelligent on this planet and there are people who are more smart, better prepared than they themselves claim to be. there are people who r claiming that the exam was of group d level. i know they are hurt but saying such words for this exam or any exam does not reflect well on their temperament...in other words all they are implying is that the grapes are sour because they could not reach upto them.
i fully agree with all that the commission could have come up with lesser no. of wrong questions if at all but saying they could not qualify because of those questions is not right. as i had pointed out in my earlier blog that everybody had to face the same set of wrong questions (however i know that the hindi medium friends were in a more difficult position as compared to the candidate of english medium like me for no fault of theirs).
there are more that can be said but then i have better things to do than to bide my time here.
when i read blogs here it feels like all that the whole bihar is thinking about is the gross injustice meted out to those who failed this exam however when i look for related news in the local papers i find nothing mentioned there.according to a post there was a huge student gathering outside the hotel in which the CM was giving speech however whien i checked hindutan i saw one full page devoted to the speech but no mention of the protest or the protesters outside the hotel. according to another post they were local hooligans who might have been paid up to do what they do best.
lastly i would say to all those who could not clear this exam...wake up guys!!! you laugh and the world laughs with you; you cry and you cry ALONE.

Anonymous said...

Kaash ki aapane itni sajagta kitabon ke prati dikhai hoti...kitna bhi case karo 24000 bhai toh bahar hi rahenge...mehanat mat karna...case karte rahana jab tak ho na jaaye

Anonymous said...

Not publishing revised answerkey and marks of candidates clearly shows that BSSC is concealing something from us. If 27000 result can be published in a record time of 9 days , then why revised answerkey and marks are still a secret ?? we want revised answerkey and marks not case or reexam.BSSC must do it on its own.

Anonymous said...

aap sahi kah rahe hai..exam cancle hona hi chahiye, is prakar ke garbariyo me doosare aayog turant exam cancle karta hai..Mujhe yaad hai 2002 ya 2003 me CAT ke exam ke kuchh question galat the, tab exam ko cancle karke dubara exam liya gaya tha.

usi prakar LIC ka ADO exam me kuchh log question paper out karne ke kaam me pakaraye the us time bhi exam cancle kiya gaya tha.

Par yanha to dono prakar ki garbari hai galat question and answer bhi aur kuchh logo ko police ne range haath pakra bhi hai...to exam cancle karna hi chahiye..agar naitikata bachi hai to....

Agar re-exam bhi hota hai to parhne wale ko fark nahi parta hai, isiliye jo achhe candidates hain oonko Ghabrana nahi chahiye.

February 8, 2013 at 8:40 AM

Anonymous said...

5.26pm bale bahi sabko saman absar milna chaiyae,yeh nahi ki ek ko kisi jabab ke liyae -1 number aur dusre ko usi jawab ke liyae 4 number,is tharah ki dhandli ke baad bhi kya hum kitab padhte rahen ya kitab ki chita bana kar us par tumko aur bssc ke chairman ko baita kar aag laga de....

Anonymous said...

This Exam must be cancelled. This is not preliminary examination where error can be tolerated and 11000 result published. This is final examination. If bonus 12 marks could be given in pt then why not in mains for those who attempted? On Which basis question 111 was deleted? Why two answer for largest beach in India? Why DNA related question answer changed? Why question related to seat arrangement was not deleted? Why four questions were just opposite in English and Hindi? Why question related to all windows etc answer was left where either two answers are right or should have deleted? How can any commission prepare merit list on these errors? This is utter injustice. Only high court can cancel it. BSSC can not cancel on itself. Let us form a group and challenge as early as possible.

Anonymous said...

Economics/math graduate rank under 6000 any chance

Anonymous said...

haan bhai log bhosda faad do BSSC ka ...berojgaar union jindabad. JAI BIHAR

Anonymous said...

dear shashank,i am not agree to whatever u hve said.i am not saying that this result is 100% wrong. approx. 1000 people have come to merit list on their talent.and this is also true that rest made to list owing to commission^bebkuphi.let u know that failures or unsatisfied with results people comprise majority. in democracy majority will prevails.so lets see what happens in comming days.

Anonymous said...

5.26 bale munna bhai jab tak hai tab tak to talanted ko bahar to bethna hi parega kon si bari bat hai.

Anonymous said...

Jo log question ya answer galat bana sakte hain chahe jaan bujh kar ya galti se. wo log result bhi galat bana sakte hain chahe jaan bujh kar ya galti se...

to humlogo ki koshish honi chahiye sahi question aur answer ke saath sahi result. aur ye ho sakta hai sirf re-exam karke kyunki es exam me already galat ho chooka hai jo sab ke saamne hai. kya itna saboot kaafi nahi hain kya.

Anonymous said...

What a splendour speech for the blunder doers....u r right , I think absolutely represented our unexpressed view

Anonymous said...

baiya UN se khabar hai ki is emergency situation me security council ki baithak baulaya gaya thi.
ab tak to UN peace keepers aa bhi jate par saale Chinese ne veto kar diya . unka kahna tha ki hum apne parliament kla naam hi change kar lete hai exam radd karne ki jarurat nahi hai . sale harami china hamesha pakistaniyo ka sath deta hai .. filhal yahi update hai

til ka taad banane vaalo ki kami nahi hai .. aur is taad ke gachh par bina soche samjhe chadh jane vaale to hamesha bahushankhayak hote hi hai ..

tamasha ka maja lijiye .. tension nahi hai 10000 baar exam karva lo bhai

Anonymous said...

Padhne waale ke liye time ka bahut value hai....wo apna kimti time AAP jaise nithhalon ko baar baar exam dilakar pass karane me barbad nahi kar sakta...

Anonymous said...

sahi kaha, tab rahne dijiye ek baar se hi kaam chala lenge . baar bar exam dene me sabka samay barbaad hoga . aap jaise padhne vaalo ki kadra hai hame. pahle hi 3 saal lag gaya hai . maamla khatam isi exam ko final maan lete hai .
khush.! ya aur kuchh chahiye

Anonymous said...

Aap log jo baat kar rahe hai, samay jaya hone ka yeh bulkul hi unproductive hai..aur samay abhi mudda nahi ahi. Mudda hai to sirf galti sudharne ka, aur prayas karne se hi galti sudhari ja sakti hai, chuchap baithane se nahi.

Jo log aaj kahte hain ki chhod do, kyunkin shayad unka rank achchha hai. Lekin mai ek baat yahan bolna chahta hoon ki kab tak chhod denge ya choop bathenge, kya yeh hamara last exam hai, iske baad hum exam se free ho jayenge..ji nahi agar hame Secretariate assistant mil bhi jata hai to oosme promotions ke liye bhi examination hote hai, yad rakhiye. Agar yahi rabaiyya raha to departmental examination me bhi galtiya ho sakri hai, jisaka khamiyaja aaj select huye candidate ko uthana parega..so we should care about errors and corruption because today is not the last day.

Anonymous said...

Are 1 se 1000 rank wale bhaiyo aap log apne aap ko jo sa samajh rahe hai wo bilkul hi galat hai....kyoki agar man lijiye ki by the way exam canceal nahi bhi hota hai to bhi aapka ranking kaha jayega iska koi guaranty nahi hai aap 5000 se jyada dur bhi ja sakte hai..isliye aap bhi sath dijiye exam canceal karane me ha kuchh larke bhi hai isme jo bhagwan ki kripya se us list me ghus gaye hai jinka aaj tak koi bhi result nahi aaya kahi bhi wo bhi sa ke dawedar ho gaye hai...aur ab aaplog ka rank to upar aa gaya hai lekin jub sabhi ka copy chek hoga to aap kamse kam 1000 rank jyada kharab aayega..isliye exam canceal karane me pura sath de........

shashank said...
This comment has been removed by the author.
Anonymous said...

ग़लत है जज़बा-ए-दिल का शिकवा देखो जुर्म किसका है
न खींचो गर तुम अपने को कशाकश दर्मियाँ क्यों हो

ये फ़ितना आदमी की ख़ानावीरानी को क्या कम है
हुए तुम दोस्त जिसके दुश्मन उसका आस्माँ क्यों हो

यही है आज़माना तो सताना किस को कहते हैं
अदू के हो लिये जब तुम तो मेरा इम्तिहाँ क्यों हो

Anonymous said...

aaj samme patna college se kargil chock tak bahut bara rali ka aaypjan kiya gaya tha aur ssc ke mishra and rao ji ka putna jalaya gaya.aur bahut sare bate hua.sab nahi pta paunga kyoki kuch mere muna bhai ko pasand nhi hai.laken hum logo ka kam bahut aage ja cuka hai.

Anonymous said...

Yanha per munna bhai kon hai? shashank kya...

Anonymous said...

BAHUT NAJEDAR BAAT KHI HAI --ab...5 baar toss hoga jo teen baar jeetega wo batting karega... lekin 5 se bhi kam chal jaega ki fir kahenge ab 7 baar hoga... hahaha

Anonymous said...

Ek baat batao munna bhai ki agar 5 question ke jagah 50 question galat rahte aur 9 answer ke jagah 100 answer galat rahte to...munna bhai kya karte...boliye..

Anonymous said...

Toss karte aur kya vo bhi baar-baar..

shashank said...

@7:16 wale bhai sahab/devi ji shashank-shashank shankar hai.photo laga hua hai. Kahin koi annonimity nahi hai...annonymous main exam ke result ke pahle bhi nahi tha abhi bhi nahi hoon...result check kar lijiega aur unlogon se bachiye jo khud to fail ho gaye hain aur logon ko ye batakar ki 'asli merit wale bahar rah gaye hain'-gumrah kar rahe hain. Agar asli merit thi to wo exam ke reslt me dikhti. Fail hone walon ke liye har pass karne wala munnabhai bana hua hai...maine pahle bhi kaha tha ki annonymous na rahe apne naam par garv hai to use ujagar bhi kare...

Anonymous said...

Anil Sir, Can I know about nos of eco/math/stat/commerce in the total false list of BSSC publised recently. It is very important to our further action. What a rubbish is this list.

Anonymous said...

patna college ke pas chane ke jhar par chadhne ke liye sabhi fail log jarur aaye.ham ladenge nadiyon me ladenge . samudron me ladenge . jameen par ladenge . aasman me ladenge. France me ladenge . Germany me ladenge par haar nahi manenge. jeet hogi chane ke jhaar par chadh ke dikha denge dunuya ko . hila denge duniya ko . tanshahi nahi chalegi .

Anonymous said...

Shashank ji ek question ka answer dijiye:
Q.No.39-Who appointed as first chancellor of Nalanda International University?

Anonymous said...

chane ke jhaar pe kon hai.wo to sabhi ko pata hai.waha se girne k bad inka kya hoga.na........sayad bhir ssc bcha le

Anonymous said...

Shashank ji i am waiting for your answer

vishwajeet said...

Doston, pichhilibar jab bihar me SACHIVALAY SAHAYAK ka advertisement nikala tha 13 sal pahle to jin logon ka selection hua tha unki joining ka call letter LOWER DIVISON CLERK(LDC),GP 1900 pe govt. Ke dwara bheji gayi thi.isliye aise log jinka selection S.A ke liye hoga,we log bhi sawdhan rahen aur avi jo RECRUITMENT PROCESS me jo galti hui hai bssc walon dwara uska samarthan na karen.kyonki S. Sahayak me joining ke bad vi job jane ka khatra bana rahega agar CASE court me gaya to.bihar me sab kuch possible hai.aisa UP me police recruitment me ho chuka hai 8 sal pahle.aise mitra jinhone high ranking layi hai wo badhai ke patra hain aur jo achchha nahi kar paye unhe nirash hone ki jarurat nahi hai.isliye overall yah kaha ja sakta hai ki CASE COURT me file ho jisse recruitment me galtiyan na ho aur savi ka future safe rahe.kyonki agar system galat hua to kavi vi koi vi iske ghere me aa sakta hai yah sirf ek exam ka sawal nahi haiJAY BIHAR,JAY BHARAT........

Anonymous said...

SOME THING DEFNATELY WRONG WITH THIS MERIT LIST WE ALL THE HAVING SAME NO OF CORRCT ANS BUT ALL HAVING RANK DIFFRENCE OF 2000.
HIGH COURT ME MILKAR CASE KARNA HOGA JITNA JILDI HO SAKE KAROO NAHI TO PURA PROCESS COMPLETE HONE KE BAD KUCH NAHI HOGA LIKE JPSC
SO HURRY UP COLLECT MONEY AND FLIED THE CASE
JAI HIND

shashank said...

@7:32 shame on you...you have not even written the right question...have you even studied the question paper?
I think you wanted to translate the hindi paper's question in which no doubt you have failed miserably...as for the answer to your question the CHANCELLOR to all colleges in india is the president of india and it is the vice-chancellor that is different for different university.
Next time try not to be a BSSC yourself which asks wrong questions to candidates...

Anonymous said...

:clap2: wah kya baat hai

omi pandey said...

shashank~ u appeard rare but with good comment. Is blog me comment karnewale log inteligent hai. Sabhi apani apani samasya se grast hain.jiska galat ans ayog ne sahi kar diya uski baat ko uthanewala koi nahi hai. Yaha par main aur prem bandhu bar bar ye kahate rahe ki reasoning ke ek question me north 2 bar ghumaya gaya hai lekin iski charcha aur kisi ne nahi kiya isi tarah se math me jiska answer hindi ke anusar 39 aur english verson and ssc ke anusar 7.8 tha usper to bahut halla gulla hua magar ye beach wala question jiska ans tamilnadu hoga hindi verson me samudratat tha bhai logo ne ans sahi kar liya tha usper koi bbt nahi .Hamare mr BISWAJEET bhai jo aaj asman me pathhar fekh rahe hai kash tabiyat se mains ke samay aisa kiye hote. Humne kiya aur fal paya .waise ek bat to clear hai ki more than 90 % student top me wahi hai jinka first result me pt hua tha. kal phir se mains hoga to top me more than 90% present list wale hi rahange~WAISE INSAF TABHI HOGA JAB FIR SE MAINS HOGA.

Anonymous said...

Shashank ji aap answer dijiye please aap english/hindi per mat jaiye, aap answer dijiye..

Anonymous said...

@Shashank shame to you, Chancellor college ka nahi University ka hota hai. College me principal hote hai.

Anonymous said...

bhai kis se answar ka umid kar rhe hai.kuch chiz ko parda me hi rahne de

shashank said...

Thanks for correcting me bhai/behen...main gusse me khud hi galat baat likh baitha...sorry.
Bade sahi kah gaye hain gusse se kuch accha nahi hota...sorry and thanks again.

Anonymous said...

shashan aap free me inhe padha kyon rahe hai . jane dijiye ye padhne vaale bachhe nahi hai . ladne vaale bachhe hai . lad ke paas kar jaye parichha . padha kar kya hoga

Anonymous said...

Shashank bhai if u don't have sufficient knowledge please don't talk more..for question no.39, please read the times of india of 20 July 2012 edition. moreover i want to say u the answer of this question is also wrong.

The people who is reading only objective type question they can not become a good candidate or student.

i think the person who has set the question paper for this exam he might be a peolple like u. There is Hindi proverb for those people "Adhjal gagri chhalkat jaye"

One examination vo ojective type questions wale jisme galtiyo ki bharmar thi, me pass karne se koi tees maar khan nahi ban jaata.

shashank said...

Omiji main manta hoon ki galati hui hai aur uska nirakaran bhi hona chahiye phir wo reexam ke roop me hi kyon na ho...par mujhe bura is baat ka lagta hai ki log jo ise clear nahi kar paaye wo clear karne walon ko annonimity ki aad me munnabhai aur tukkebaaz bata rahe hain. Ek baar lagta hai ki comments padhoo hi na par since yahi is exam ke baare me hone wali gatividhi ka authrntic information hai to yahan wapas aa kar check karna padta hai aur is tarah ke comments dekh kar bura lagta hai...aakhir insaan hoon yaar.
Yahan to log aise baat karte hain jaise koi aandlan la denge par kisi ko ye kahte nahi paaya ki haan yaar thodi aur mehnat ki zaroorat thi...jahan tak hindi aur english ke paper me alag alag questions ki baat hai to msin apne pahle blog me kah chuka hoon ki mujhe bhi lagta hsi ki mere hindi me exam dene wale bhaiyon ko bila wajah nuksaan hua hai...

Anonymous said...

bhai ssc ke galti se achha rank aa gaya hai.q kisi se puchte hai.taklif ho jata hai.plz q na puche.

Anonymous said...

jinhone answer sudharvaane ke liye COMPLAIN ON MODEL ANSWER jama kiya tha .. unka rank abhi final nahi hai. top karne waala bhi bahar ja sakta hai . kuchh logo ko grace me 30-40 marks mil gaye hai . ab topper ka tamga latka ghum rahen hai . final merit list aaegi tab asali topper samne aayega. tab tak engoy karo .
jinhone jama nahi kiya tha unhe koi chinta nahi hai . jab court se sabke answer ek hi model answer se janchne ka adesh aaega marks to badhenge hi. rank uper hi jaega

agar shashank ne complain jama kiya hai ki nahi vahi bata sakenge.

Anonymous said...

jo examinee chahte hain ki patna high court mein case kiya jaye revised aur saaf suthara result ke liye wo apna facebook id share karein taki wahan group banakar ran-niti banayi jaye aur charcha kiya jaye aage ki karwayi ke liye. hame ya to saaf suthara result chahiye ya phir is mains exam ke result ka jo bhi ho. pata nahi. abhi bas apna kaam karna hai. kaun kaun se question delete kiya, kis kis question ka answer kya rakha bssc ne kuch nahi bataya hai. daal kali hai. sirf result bana diya hai. jo question sahi se nahi puch sakte, jo answer galat dete hain, jo answer sutharwane ke liye student se hi appatti darj karwate hain phir bhi sahi result nahi dete hain unse kya asha rakhana. facebook id share karein sirf we student jo saaf suthara result chahate hain aur bssc se pareshaan hain.

Anonymous said...

abhi tak ke hisab se kitne rank tak ke general candidates ko kuch milne ki ummid hai, shayad 1575 tak hi..... uske baad to cat. wise reservation ka niyam laagu hoga.... please share your views, ek important baat hai ki category wise kisi prakar ka final cut off show nahi kiya gaya hai agar result par dhyan se dekha jaye to res. cat. wale mostly kafi nichle paidan pe hain unme ekka dukka hi gen. candidates hain...Aisa kya hai ki nichle mein max. res. cat. ke hi log hain.....

Anonymous said...

mere khyal se gen me 2000 rank tak wale ko kuchh na kuchh milna chahiye

Anonymous said...

harek post k liye pahle 1/2 rank k hisab se 1/2 reservation k hihab se liya jayega. aise me total seat ka 1/2 karne ki jaruran nahi hai. 2000 se upar wale kuchh log reservation se jayenge. esliye gen me ranking 2000-2200 tak jaa sakti hai.

Anonymous said...

Ye rabi phasal ko march kyo man rahe hai uska answer to june bhi ho sakta hai kyoki bahut sare kitab me april-may diya hua hai yaha tak ki unik me bhi yahi hai..to jub aap march man sakte hai to june kyo nahi...ye question bhi court me daldiye hai.....kya sahi kiye na bhaiyo ?

Anonymous said...

@ 8:45 PM wale Anonymous ji

bssc se keval ek galti huyi hai . usane do model answer ka upyog kiya hai .
mai isme nahi padna chahta ki kis model answer me kya galti thi aur use thik karvana vaigarah vaigarah .. kyonki yah to sabhi ke liye tha ,, sabhi ke saath saman vyavhaar hona chahiye bhakle hi answer me galtiyan ho .. galyiya sabhi boards karte hai .upsc me to vikalp itne jatil hote hai ki kisi ek ko sahi saabit karna kathin hota hai .. ise beimaani nahi kaha jaa sakta kyoki ye sabhi par laagu hota hai ..

ab kaam ki baat -- keval ek mudda uthaiye bahut se logo ka saath milega .. sabhi ka mulyankan ek hi model answer set se hona chahiye . bas isase jyada nahi isase kam nahi

mai in aandolan vaalo se mila tha .. unhe students ke hiton ki chinta nahi thi .. unlogo ka ek hi uddeshy hai PAISE KAMANA.. isliye ye log transpoaransy nahi chahte keval exam cancele karvaane par jor dete hai .. kyoki agar treansparancy ki mang karnge to INHE DAR HAI KI BSSC EK HI DIN ME SAARI BAATEN MAAN SAKTA HAI . COURT JAANE KA MOUKA SAMAPT HO JAEGA . PAISA KAIE KAMAENGE.
isliye exam cancel karvaane ki ASAMBHAV MANG .. YAH KABHI PURA NAHI HOGA .HIGH COURT SUPREEM COURE UN TAK ladnae ka mouka milega . 3-4 saal mamla chalega 3-4 saal tak daru-paani ka kharcha nikal jaega ..

aisa karne vaalo ka pura ka pura giroh hai .. is dhandhe ke ye mahir khiladi ahi .. inhe samjhane ka prayas karne se achha hai ki inse dur rahkar agli parichha ki taiyati ki jaye

isliye aap batiye aap kya hai .. kahi aap bhi to inhi girohon me se ek to nahi hai

Anonymous said...

exam to cancel hone ki sambhawana bahut kam hai. agar ssc se koi galti hui hai to use sudhara jaa sakta hai.es par dhyan dene ki jyada jarurat hai.

Anonymous said...

kuchh log paise kamane k liye court jane k naam par ladko se paisa jama karne ki koshis kar rahe hai. en logo ka yahi dhandha rahta hai. ye log padhne wale ladke nahi hote hai. eska andaja aap unki ranking puchh kar le sakte hai.

Anonymous said...

A.I.S.F k kisi v member ka contact number h to usse share kre plz.

Anonymous said...

Hum log janhit yachika dayar kar rahe hain high court me. Isme koi neta ya giroh ki jaroorat nahi parti hai.

Anonymous said...

SAWAN K ANDHA KO HRA HI HRA DIKHTA HAI YANI JO LOG RESULTS ME LEN DEN KIYA HAI UNKO HAR CHIZ ME LEN DEN HI DIKHEGA .KOI NAYI BAAT NAHI HAI

ruby kumari(rank-24) said...

Dear shashank shankar jee, if u dont mind how many questions you attempted and were right according to u.

Anonymous said...

Bhai lagta hai is exam ka wahi haal hoga jo Sachivalay sahayak 1999-2000 ke time ka hua tha. yaani 10-12 saal pehle ki ghatna se nato sarkar sabak leti hai na to aayog.

Vivadit mamlo ko apne star par niptare karne ki ichchha kisi me bhi nahi hai.

Anonymous said...

@10.07pm wale bhai sahab attempt ki baat chhod dijiye. is baar ke exam me khud ka attempt se kuchh nahi huaa hai. balki bssc ki karastaniyo ki bajah se hi jayada kuchh hua hai.
mai ek do example deta hu: ek mere mitra hai unka name hai Rakesh kumar unhone sabhi 150 questions attempt kar diya tha ye soch kar ki huaa ya na huaa koi fark nahi parta hai kyonki mai to alreday job me hoon hi, leking oonka ranking kaafi achchha hai aur BC me hone ke kaaran unko SA mil hi jaayega.

neeraj kumar (rank 110) said...

ruby jee aapne kitne question attempted kiye the aur kitne sahi huye

Anonymous said...

Bhaion ....court ki bhi apni had hai. Yaad karo pt me 10 Q me kuchh n kuchh galti thi. Edi-choti ka jor lagaa kar bhi court kitane Q sudhar Kara saka?... Sirf 4.....court jyada se jyada do char Q SudhAr KarA dega...isliye Jo log ise kalpvriksh maan kar baithe hain unse nivedan hai ki abhi se lag jaayein...joining bahut jaldi hone waali hai aur bssc ka agla notification aane hi waala hai....

Anonymous said...

Neeraj bhai aapne kitna question attempt kiya tha aur kitna number check karne ke baad aa raha tha ?

neeraj(rank-110) said...

maine 139 sawal kiya tha. ssc k anusaar 120 sahi 18 galat 1 q ko bahar kiya gaya hai

Anonymous said...

Exam canceal karna hoga chahe jis kimat pe ho....uske liye agar high court ke samne su-site bhi karna hoga to taiyar hai hum...lekin in bewkupho ke sahare hum bihar sachiwalaya ko ganda nahi karne denge...in logo ko bssc ke chalte lottery lag gayi hai we chah rahe hai ki exam canceal naho lekin exam to canceal hoga hi kyoki isme bahut bahut fault hai...aur jo bhai purana itihas ke sahare ye bol rahe hai ki exam canceal nahi hoga wo phul kar rahe kyoki ye india ka sabse most wanted exam hai isme jub tak 100% purity nahi aayegi tab tak to aisa hi chalega bhaiyo kyoki isme koi bhi larka pichhe nahi hatnewala hai....exam canceal kab hoga ab sirf yahi dekhna hai...aur waise bhi case larne ke liye phund ka koi kami nahi hoga kyoki mostli larke govt job me hai......

neeraj kumar (rank 110) said...

480-18=462 marks

ruby kumari said...

maine 137 attempt kiya tha jisme mere hisab se 126 sahi the.

Anonymous said...

Rubi ji aapka rank kitna hai

neeraj kumar (rank 110) said...

ruby jee ka rank 24 hai

Anonymous said...

SABHI BLOG PADNEWALON SE MERA NIWEDAN HAI BSSC MAINS KI PUNAH TAIARI ME LAG JAYE.KYONKI IS EXAM KI KOI RELEVANCE NAHI RAH GAI HAI. RE-EXAM NOVEMBER 2013 ME SAMBHAVIT HAI. BEST OF LUCK FOR NOV.2013 EXAM

neeraj kumar (rank 110) said...

nov,2013 me fir se exam ki ghoasana karne wale bhai sahab kya aap apni rank batlane ka kast karenge

Anonymous said...

source kya hai ki reexam hoga nov 2013 mai

Anonymous said...

10:36 PM kyoki ye india ka sabse most wanted exam hai . ISME SIRF most wanted logo ka huva. tum nahi ho fail kar gaye. cha-ch -chah .

india ke sath bahut na insaafi hai ye. ab nahi sahenge . mar denge, far denge , jhanda gaar denge par india ka sabse most wanted exam me pas hokar dikha denge. halla bol. bol bhai bol. pichhe se bol.
jor se bol. halla bol

vivek kumar said...

Breaking news-----shaskiya star par ye pakki khabar hai ki kal maurya hotel me hue hungame ke bad cm nitish kumar ne j.k.rao ko cm awas par bulaya aur sari sthiti ki jankari li. ek do din me is matter ka patachep ho jayega ki reexam hoga ya reevaluation of answer sheets. isliye bhaiyo agle tuesday tak dil tham kar baithiye.good night

Anonymous said...

koi source nahi hai, shirf apwah hai

Anonymous said...

exam jald se jald cancel honi chahiye lekin iske liye high court me case karna hoga jo abhi tak hua hi nahi hai. sirf bat karne se nahi hoga.ek bar high court me case ho jaye phir to yeh exam cancel hoga hi kyonki isme bahut dhandhli hua hai.

Anonymous said...

aaj jo meeting patna college me thi usme kya hua? yeh meeting ki bat true hai ya false kyonki kisi bhi paper me is sabka jikra nahi ho raha hai.

Anonymous said...

hum to kahte hain ki nitish ji ko is sab ke bare me student ka ek shishtmandal jakar batayen wo jaroor exam cancel karwakar phir se transparent exam karwayenge.

Anonymous said...

vivek kumar ki khabr sahi nikli to setters ka kya hoga. bechare 3-4 dino se din bhar gandhi maidan se patna college tak doud dhup kar mushkil se kuchh paisa kama paye the. agar CM ne insaaf dilvaa diya to court jaane ka kya hoga.

bahut hi bura huva. bhai jor se bolo hame insaaf nahi chhahiye.. CM sahab hame court me jaane do .. daaru itna mahnga ho gaya hai aur ab paisa bhi kamaane nahi doge.
kaise chalega . manavadhikar hanan ka case thok denge . hame bhi khane kamaane ka adhikar hai .

Anonymous said...

kuch nahi hone wala hai.jo pass hein wo paas hein aur jo failed ho gaye wo failed jaise bhi....................

Anonymous said...

ghabrane ki jarurat nahi hai agar evaluation bhi hoga to top wale aage hi rahenge kiyonki sudhar sab ke answer sheet me hoga na ki niche ke hi rank walon me.ok good night...:.................

Anonymous said...

CM sahab bhi agar question paper aur answer Key dekhenge to unhe maloom ho jayega ki examination kitna sahi tha.Kyunki do question ka answer to ve jaroor jaante hongeki Bharat me kitne kendra shasit pradesh hain. aur doosara Nalanda International University ka first Kulpati kise banaya gaya tha kyunki vo Nalanda internation university ke harek meeting me bhag lete hain.

Anonymous said...

Exam cancil ho jayega....bssc ne kafi hole chhora hai.....saayad, bssc ka bhi yahi irada hai.......2 and 3 hearing mai exam cancil ho jayega..... monday ko case file ho raha hai......agar high court kuch nahi kar payi..to mamla supreme court jayega.....jahan cancil hona tay hai.....jai Bhrast Staff Selection Commission..under Sushashan.....

Anonymous said...

aji ghabraye hamare dushman hum to har tarah se taiyar hai. re evaluation hoga to rank upar hi jaega.
isase cancel karvaane ka halla machane valo ko ghabrahat hogi. unki daal nahi gali. unka rank aur kharab hona tay hai. kyoki ye tikdami type log hai sabne answer sudhrva liya hai .. 30-40 marks grace me le liye hai fir bhi fail hai.. hame kyon hogi hamne to grace marks bhi nahi liya hai . faltu kaamo ke liye dour dhup karne ki aadat nahi ahi hame. isliye answer nahi sudhrvaya tha.

Anonymous said...

@11:24pm wale bhai sahab exam cancle hone ke baad re-exam thi thak se huaa to aukaat saamne aayegi. Ye to exam tha hi nahi sirf abkbaas tha. jab sahi maayne me exam hoga tab merit dikhane ka sab ko moka milega. Tab upar rank wale meritorious logo ka asli merit maloom ho jayega. is galat sabal jabab se kisi ka merit ke baare me maloom nahi ho sakta.

SACHCHAI KE SAATH SWIKARNA BHI EK PRAKAR KA MERIT HAI.

Anonymous said...

Are tu bhi toh sirf baat hi kar raha hai......

Anonymous said...

@11:40 PM---SACHCHAI KE SAATH SWIKARNA BHI EK PRAKAR KA MERIT HAI.- afashosh aapme kam se kam ye merit bhi hota to samajh jate ki merit hai..
thik hai cancel hi karva dete hai fir se 2-4 baar try kar lete hai .dekhte hai fir aapki merit

Anonymous said...

Tum kyaa astrologer ho....kab tak juth se khud ko tassali dete rahoge

Anonymous said...

har exam ka ek standard hota hai lekin is tarh se galat sawal set karna syllabus ko side karna kis parkar ka standard hai wo bhi SA jaise post ke liye. Agar syllabus follow hi nahi karni thi toh syllabus diya hi kyon tha BSSC ne.

Anonymous said...

kahte hai merit ko pahchanane ke liye bhi merit chahiye -- astrologer ki baat mante ho kya.. bahut achhe, tab to neta ban jaaoge.. chori chakari me bhi safalta ka yog hai bachhe.try karo, thikedaari ke liye bhi tuhamra grah uttam dasha me hai. safalta ka yog hai par abhi sani maharaj kupit hai. roj subah uth kar laal kapdo me laal jhande ke saath laal band ka gaana suno . sani maharaj khush ho jaenge.

safalta jarur milegi. akhir sani maharaj se bachkar jaegi kahan sasuri. tumhe hi milegi bachhe

Anonymous said...

Syllabus hai samvidhan nahi Jo langha n jaa sake, syllabus ek guidence maatr hai, lakshman rekha nahi .

M.K./M.Kumar(Rank 36) said...

Mujhe pata nahi chalta ki kuch log kisi ki intelligence and knowldege ko ek exam ki safalta or asafalta se kaise naap sakta hai, maine suruwat se hi aap sabhi dosto se kar raha hoon ki jo bhi candidate mains exam de rahe the sabhi talented hai, kyonki itni badi exam jisme UPSE, STATE COMMISSION, SSC, Railway and more other type ke well preparation kar rahe candidate ne PT diya tha agar usme se mains exam ke liye qualify karna hi koi sadharan baat nahi thi, isliye ek dusre ko apshabd kahna chore, Jaha tak BSSC ka sawal usne galtiya karne ki to lagata hai kasam hi kha li hai, lekin is samasya ka sabse sahi hal yahi tha ki BSSC final answer key(like JSSC according to booklet A,B,C,D) and each candidate marks site par jitna jaldi ho sake upload kar de.

Anonymous said...

sab standard ki baat kar rahe hai.jo tha sabke liye tha. jo is standard ke sawal nahi bana sakte wo standard sawal kis dimag se banayenge.man liya jo uper rank me hai wo kuchh nahi jante to jankar log pichhd kaise gaye.kya itna bhi nahi jante the.afshos hota hai, taras aati hai aap logon ki logic per. are bhi galat sawal sabke liye the.jo select ho rahe hain unke liye bhi aur jo nahi ho rahe hai unke liye bhi.ab jhuth ko tark denge , gaali denge aap log.per dusaron ki merit per arop lagane se pahle imandari se apne bare me soche.aap kaise man rahe ho ki jo select huye hai wo behter nahi hai.jab aap log kahte ho ki group D ka exam tha s.a. ka nahi.select hone walon ka star D tha .ab aap log sochiye ki jab D ke star ke bhi nahi ho to kya karoge.kya syllabus kewal fail logon ke liye hi side kiya gaya tha ya pass ke liye bhi.syllabus ke anusar bhi rahta to yahi hota.apne ko adhik smart manana band karen aaplog. sari dikkten isi me nihit hai.aap log adhik seat dekhkar adhik ummid kar liye the.anya talented ladkon ko bhul gaye the.bhai bura lage to, sorry. RATISH SIR BLOG KO ANATH BANAKAR KAHAN CHALE GAYE.BSSC AUR BPSC MAINS PER AAPKE UPDATE KA INTJAR HAI.PLEASE UPDATE KARE.

rakesh said...

dear 8:45pm balle bahi ji,mai bhi merit list ko challenge karna chata hu,is exam maine 135 question attempt kiya tha,jisme se bssc ke 1st model anser se 25 question galat the,is tharah mera score (110*4)-25=115 hua baad me bssc ne sayad 9 question ko revised kiya(hindustan paper ke anusar)usme se mera 8 question aur sahi hua,is taharah mera new score (118*4)-17=455 hona chaiyae,lakin mera ranking 3100 ke baad hai jise lagta hai ki mere answer seet ko revised nahi kiya gaya.isliyae mai merit list ko challenge karna chataa hu.agar aap logo ne koi group iske liyae banaya hai to batayae,facebook par koi group hai to is blog par share kare ya apna contact de,karan ki patna ke sare neta is exam ko raad karne ki maang kar raha hai merit list ko sahi se revised karne ke bare me koi nahi kuch kar raha hai.......

Anonymous said...

Bhai sahab aap log itne bare-bare blogs likh rahe ho, lekin ek baat batao ki BSSC tatha BPSC exam ke alawa india me koi aur exam hua hai jisme itna galti hone ke babjood exam cancle nahi huaa hai?

Anonymous said...

yar ab koi exam nahi ahi .. isliye blog likh rahe ahi ... bhai jssc aur jpsc to bagal me hi hai .. dur daraj me rajsthan pcs karnataka pcs bhi hai . aap to vaise exam ka naam bata do jisme sab kuchh perfect hota hai .. galti sabke liye thi .. itane aasan savaal ke galat javab set kiye gaye the ki 100% logo ko nuksaan huva.. agar 3 savaal me option nahi the to ye bhi sabke liye tha.

in galtiyo ko paardarshi tarike se sudharkar list jaari karna chahiye tha ..

par billi ke bhagy se chhikan tuta, sthiti ka labh uthane me bhi kuchh lage ahi PAISA KAMAANE KE LIYE. exam cancele ka artha hai 1-2 saal aur lagna ..


exam jab bhi hoga kuchh log fail karenge hi .neta vakil aur girohbaaj us samay bhi exam cancel karvaane ka koi na koi tark gadh hi lenge . dharna pradarshan haga hi chahe kitani baar hi exam cancel karva lo . bihar me ye ek dhandha ban chuka hai .. apko nahi pata ho to koi baat nahi par mujhe pata ahi . kuchh logo ki roji roti isi se chalti hai ..ye girohbaaj abhi sipahi bahali me lage the ab sachivalay me lage hai . bpsc ka result aaega to ye girohbaaj bpsc me fail hone vaalo ko bhadkaenge aur use cancel karane me lagenge.. ye chalta rahega. jab tak court in mamlo me dakhal dena band na kare tab tak ye tamasha chalta rahega..

Anonymous said...

NO CANCELLATION , NO RE-EXAM AND NO CASE. But only if, BSSC publish as soon as possible~ (1) Revised answerkey. (2)Question Booklets of all series. (3) Marks of all candidates.

Anonymous said...

raka saka laoo takka,
bssc me karba dunga,
nitish kumar se setting hai,
barna patna se jaoo dhaka,
raka saka laoo takka...

rakesh said...

dear 8:45pm balle bahi ji,mai bhi merit list ko challenge karna chata hu,is exam maine 135 question attempt kiya tha,jisme se bssc ke 1st model anser se 25 question galat the,is tharah mera score (110*4)-25=415 hua baad me bssc ne sayad 9 question ko revised kiya(hindustan paper ke anusar)usme se mera 8 question aur sahi hua,is taharah mera new score (118*4)-17=455 hona chaiyae,lakin mera ranking 3100 ke baad hai jise lagta hai ki mere answer seet ko revised nahi kiya gaya.isliyae mai merit list ko challenge karna chataa hu.agar aap logo ne koi group iske liyae banaya hai to batayae,facebook par koi group hai to is blog par share kare ya apna contact de,karan ki patna ke sare neta is exam ko raad karne ki maang kar raha hai merit list ko sahi se revised karne ke bare me koi nahi kuch kar raha hai.......

Anonymous said...

Mr astrologer @12:07 am , Sab thik bataya ek baat galat bol gaye, mujh par shani kupit nahi, Maine bssc me laal jhanda gaad rakha hai ,ye saari kriayen karne ki aapko aawShaykta hai.thik kaha aapane ki merit ko pahachaanane ke liye merit chahiye Jo AAP me nahi hai....shukra hai ki bssc ne aapko samaya rahte pahachan liya....ek baat main bhawishyawaani kar dun...ab AAP kisi bhai ki ranking batakar kahoge ki main bhi merit me hun ....dhongi astrologer ban Gaye aap...jay ho dhongi maharaj ki ...naraj mat hona bhai ...just chill

Anonymous said...

Ye raka khule aam taka mang raha hai...cbi ki siber cell tujhe pakadne nikal chili hai, ab tu bhaag dhaka

Anonymous said...

Aaltu faltu ki baat chhoro, ek baat batao ki CM sahab ko is exam ki saari garbariyo ke bare me jaankari hai ki nahi.

Anonymous said...

Bhai rakesh....solved 135 wrong 25,total : 110-6 equal to 104.thik hai .aage 9 q revise hue usme aapko 8q kaa labh hua, ab score- 112 , 4 q delete hue wo aapane sahi kiye the unhe minus kiya , 112- 4 equal to - 108 ie ,score - 432 is score ke anusar aapko sahi rank Mila hai

Anonymous said...

CM sahab ko aur koi kaam nahi hai....

Anonymous said...

Brother,

Please let me know

1. How many Eco/Math/Stat/Commerce graduate are in this list?

2. How many B. Lib. student in this list?

3. This question will also be raised in front of BSSC officials that what is his source of information for such wrong answers

I once again request if anybody have authentic information then please. It is very important question for this examination.

Your brother from Patna High Court

Anonymous said...

Brother,

Please let me know

1. How many Eco/Math/Stat/Commerce graduate are in this list?

2. How many B. Lib. student in this list?

3. This question will also be raised in front of BSSC officials that what is his source of information for such wrong answers

I once again request if anybody have authentic information then please. It is very important question for this examination.

Your brother from Patna High Court

Anonymous said...

Apni pahachan toh sahi bataate....u fake

Anonymous said...

I think that approximately 25 percent applicant are math/eco/comm/stat group

Anonymous said...

,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

Anonymous said...

Brother,

Please let me know

1. How many Eco/Math/Stat/Commerce graduate are in this list?

2. How many B. Lib. student in this list?

I once again request if anybody have authentic information then please. It is very important question for this examination.

Your brother from Patna High Court

Anonymous said...

//////////////////////////////////////////

Anonymous said...

Brother,

Please let me know

1. How many Eco/Math/Stat/Commerce graduate are in this list?

2. How many B. Lib. student in this list?

I once again request if anybody have authentic information then please. It is very important question for this examination.

Your brother from Patna High Court

Anonymous said...

kya bssc wale aur govt ka koi aadmi vi is blog ko padhta hai?!?!??!

Anonymous said...

Shayad nahi...unhe kya interest hai

Anonymous said...

Bssc ka karisma
1. Question ko iit banglore ka koi larka set kiya tha...jisko hindi hi nahi aati hai aur aati hai bhi hai to wo hindustan ke nam pe kalank hai
2.bssc ne expert comeety banai ki kaun sa question galat diya gaya hai to us expert commeety ne jal aur pani aur dna ko galat sabit kar diya .......
Ye bssc ke presdnt aur sachiw ias officer hote hai lekin kya inko dekh ke inke ma bap ko dukh nahi hota hoga ki kyo aisa kuputra paida kiye hum.......

Anonymous said...

Court case hua hai kya.......

Anonymous said...

Damn on the government and BSSC officials. Mai wo nahi hoon dost koi aur gaali mat dena. Aap ka hi bhai hoon. Exam cancel hone ke pure chance ban rahe hai aur aap logo ko bas ek petition file karni hogi by tuesday evening. Then re exam must be held, I assure you.

Anonymous said...

Exam cancil hona hi chahiye....mera chota bhai ka 93 question sahi tha...bssc ke answer sheet ke anusar aur mera 103 question sahi tha...dono ka rank 11000 ke aas pass hai....ye kese ho sakta hai dono ke ramk mai kafi anter hona chahiye..par sirf 32 rank ka anter hai..hum dono central excise inspector already hai...kese marking kiya gaya hai kuch samajh nahi aata. Is type ka exam agar life mai tin-char de de to candidate depression mai aa jayega. Self-confidence ki aesi ki tesi ho jayegi. Dal mai kuch to kala hai ya puri daal kali hai...

neeraj said...

aap dono kitne question attemped kiye the

Anonymous said...


Puri daal hi nahi saalo ka muh bhi. 115 Que sahi hone par 8000+ rank. ye kaise ho sakta hindustan me.

Anonymous said...

raka saka laoo takka,
bssc me karba dunga,
nitish kumar se setting hai,
barna patna se jaoo dhaka,
raka saka laoo takka...

(this is ajoke which comes in my mind when i read various type of in favour and in against of bssc exam. don't take it on your heart.sorry brother,best wises for your fight for your believes, for your carrier and for your life.....)

Anonymous said...

raka saka laoo takka,
bssc me karba dunga,
nitish kumar se setting hai,
barna patna se jaoo dhaka,
raka saka laoo takka...

(this is ajoke which comes in my mind when i read various type of comments in favour and in against of bssc exam. don't take it on your heart.sorry brother,best wises for your fight for your believes, for your carrier and for your life.....)

Anonymous said...

10.57am bhai saheb...mera bhai 120 attemt kiya jabki mai 134 q attempt kiya tha...

Anonymous said...

Kisi ke paas bssc walo ki betiyo ka mobile no. hai to please share kare mood romantic ho raha hai

neeraj(rank-110) said...

aap dono 93 aur 103 negative karke bata rahe hai ki total etna sahi hai. agar total ye sahi hai to aapke bhai ka marks 372-27=345 marks aur aapke 412-31=381 hota hai. aap dono me 32 se jyada ka antar hona chahiye tha.

Anonymous said...

negative kat ke hai..

Anonymous said...

9431800004

Anonymous said...

kya b apke bhai ka set A jo bssc ne apne aside par load kiya tha.kya apka alag tha.

Anonymous said...

uska set wahi tha jo net par avialable tha...mera dusra tha...

Anonymous said...

jinka A set tha uni ka sudhar huaa hai. mere sabhi sathi jinka A set tha unka hi slection huaa hai. mek

Anonymous said...

agar mood romantic ho raha hai to aap 9431822967 par v ph laga sakte hai

Anonymous said...

2000 se kam rank wale aur saphal larke kupya batae unka kya A set tha jishe bssc ne apne side par load kiya tha. ap apne un dosto se bhi pata kare jo saphal hai .kya unka bhi set A tha .ww tu

neeraj kumar (rank 110) said...

mera set A nahi tha

Anonymous said...

niraj jee rank 110 apka kaun sa set tha. sahi batna. ja

neeraj kumar (rank 110) said...

set me to koi a b c d tha nahi. kaise batau ki koun sa set tha.

Anonymous said...

In bato par bahas karne se koi fayda nahi hai ki uska kya set tha, mera kya set that. Aisa nahi hota hai. Sawal ye puchha jana chahiye ki kaun kaun se prashno ko sudhara gaya aur kinhe delete kiya gaya? Kuch aise bhi prashna hai jinhe delete karne ki jarurat thi par nahi kiya gaya? Ek do prashno ko sudharne ke bad galat uttar de diya gay. Hindi aur English me question alag alag the. Yeh truti nahi ho sakti. In sawalo par bssc ke pass defend karne ka koi bahana nahi hai. PT me kis basis par 12 grace marks dekar 11000 ladko ko ghusaya gay? To phir mains me reasoning question ke baddle grace marks kyo nahi diya gaya? Aise kai sawal hai jis par Ye pariksha radd ho sakti hai. Itna to tay hai ki merit list yahi nahi rehne wali. Yadi nispaksh expert committee gathit ki jati hai to ek kshatra ke rank me 10 se 20 number ka fark parega. Matlab rank bilkul badal jayega. Court ke aadesh ke paschat to ye hoga hi.

neeraj kumar (rank 110) said...

ssc ne jo set apne site par dala tha wah mera nahi tha. esliye mai ye kah sakta hu ki set A mera nahi tha

Anonymous said...

,,,,,,,,,,

Anonymous said...

bssc ne model set jari kiya wo to tha. plz sach bolna niraj bhai .

Anonymous said...

Mains examination ko janbujhkar kuch vishesh -----ladko ko fayda pahuchane ke liye starhin kiya gaya tha. Mere chaar parosi aise hai jinka pehli bar me pt me nahi hua tha par mains me unki ranking 1000 ke under hai. Iske piche kewal bssc nahi balki government ki bhi koi chaal hai jise aap shayad samajh sakte hai. Aise me sambhawatah kuch nahi hone jaa raha, Court me sabkuch setting ho jati hai. Yadii nahi hua hai to ise bhul jana hi behtar hai. Iske pichhe dimag lagane se tension aur badhega hi. Bhagwan malkik hai bihar ka.

Anonymous said...

Tu kyon nahi kar deta jab itna biswaas hai toh

«Oldest ‹Older   1201 – 1400 of 3319   Newer› Newest»